Har kissi ko Mukammal jahaan nahin milta, Kahin zameen nahi miltee kahin aasmaan nahin मिलता
वक़्त ka paiyaa ghum chukka hai ab, aaj itnee door hain khade hum dono ki peeche mud ke dekhna ka samay hi nahin milta
Kya pata thaa humein, ki jeevan ki raah mein haath tera chut jaayega, alag ho jaayenge hum, alag raah chal padenge, bheed main bhi tanhaa rehte hain, woh saath ab nahin milta
Paisaa, Gaadi, makaan aaj sab kuch mere paas hai, phir bhi kyun ek khaalipan ka ehsaas hai, dhan se sukh praapt to hota hai, par chain phir bhi nahin mlita
Aaj bhi reh reh kar sonchta hun, ki kyun hum bichde, kyun hue judaa.... Kaash yeh waqt ka paiyaa peecha jaa pata,apni ki gai bhool ko sudhar paata, sonchta hun kaash ki, hamaari chahat ka rang phir chadta, kaash ki pyaar ko woh phul phir se khiltaa
Par us bade shaayar ki phir baat yaad aati hai aur dukhi dil ko jhuthe mann se samjhaata hun, sakun to is man ko phir bhi nahin milta
Kya kare, har kissi ko mukammal jahaan nahin miltaa, kahin zameen to kahi aasmaan nahin miltaa
No comments:
Post a Comment