Uth khada hounga apne pair pe, gir gir kar itni baar, ki mushkilen bhi thak kar keh dein maan li hamne haar
Jeevan kabhi ek samaan sa nahin chalta, yeh to samundar ki tarah hai jisme kai baar aate hai chadaav aur utaar
Yeh raah nahin hain asaan, par Rukunga nahin, harunga nahin, thakunga nahin, manunga nahin kabhi haar
Chod do yeh sangharsh ab, chod do yeh maarg, tumhaare liye kuch aur behtar hai, kehten they sab mujhse baar baar
Himmat nahin choddi, nishtha nahin toddi, kabhi rah nahin modi, chahe mili ho kitne hi kasht, ya kitni hi maar
Is jeevan se sab kuch seekha hai, is se hi sab kuch paaya hai, Mujhe naaz hai khud par, is duniya par, aur is jeevan se hai pyaar
Is jeevan ne hi himmat di hai mujhe kehni ki yeh har baar
Uth khada hounga apne pair pe, gir gir kar itni baar, ki mushkilen bhi thak kar keh dein maan li hamne haar