Pages

Sunday, August 7, 2011

Is darr se kyun tu dartaa hai

Kya hoga jeevan mein aage, yeh sonch kein mann machlaata hai,

Chintit vichalit hota yeh mann, bhavishaya ki sonch men pad jaata hai

Bhoot kaal mera beet gaya, kuch khoya hai, kuch paaya hai

Vartmaan par bhi mera niyantran nahin, jab bhi door ki sonchta jaata hain

Aaj mein jeeyo, aaj hi jeevan hai, kal mein kyun tu martaa hai

Yeh darr bada darpok hai, iss darr se kyun tu dartaa hain ?

Jis maan ki kohk se to jevan paaya, kya tu usko chun paata hai

Bada ho ke paathshaala, vishwavidyaalay jaata hai, jeevan ka saleeka, achche karm seekhta hai,

Is duniya mein badne ki neev wahi pein paata hai, par kya tu hamesha woh paatshaala, vishwavidyaalay chun paata hai

Aage badtaa hai, rozgaar ke koshish mein apnaa karm banaata hai, par woh bhi har baar tu nahin chun paata hai

Aaj mein jeeyo, aaj hi jeevan hai, kal mein kyun tu martaa hai

Yeh darr bada darpok hai, iss darr se kyun tu dartaa hain ?

Itni door ki mat sonch, Ek pal mein yah jeevan badaltaa rehta hai

Jeevan bhar ki chestha, bhavishya ke liye ki gayi har chinta, har prayaas, Insaan ke jaate hi reh jaata hai, aur bhavishya haath maltaa reh jaata hai

Tu toh itna parashrami hai, sachi nishtha se apna karm kartaa hai

Jeevan se ladtaa hua, aage badtaa hua, kabhi jinda, kabhi toda marta hai

Aaj mein jeeyo, aaj hi jeevan hai, kal mein kyun tu martaa hai

Yeh darr bada darpok hai, iss darr se kyun tu dartaa hain

No comments: